Syedi sakhawati baradari jahangeeri
Bhainsodi shareef tehseel milak zila rampur uttar india
Ye kya ha
Ahle Bayt Se Bugz Ya Jahalat Munafiqat
Aaj har jagah chaahe wo social mediabl par ho ya iske bahar ho, hamare kuch bhai Durood aur Salaam is tarah pesh karte nazar aate hain,
Allahumma Salli Ala Muhammad Wa Sallim
(Ya Allah Muhammad par rehmat aur salamti nazil farma)
Sallallahu Alaihi Wasallam
(Aap par Allah ki rehmat aur salamti ho)
Ye sarasar ghalat hai.
Jab bhi durood aur salaam padhein to Rasool Allah ke saath Ahe Bayt ka zikr laazim hai aur ye cheez khud hamare Aaqa Alaihissalam ne hame sikhaya hai.
Durood likhein ya padhein to “Allahumma Salli Ala Muhammadin Wa Aale Muhammad”
Salaam likhein ya padhein to “ Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam”
Hadees : Hazrat Abdur Rahman Bin Abi Bin Laila ne Ka’b Bin Ujra Razi Allahu Anhu se riwayat ki hai, humne pucha Ya Rasool Allah hum aap par durood aur salaam kis tarah bhejein?
Aapne farmaya, kaho ki “ Ya Allah ! Rehmat naazil farma Muhammad aur unki Aal par jis tarah tu ne rehmat naazil farmayi Ibrahim aur unki Aal par beshak tu taareef ke laayaq aur badi buzurgi azmat wala hai. Aye Allah barkat naazil farma Muhammad aur unki aal par jis tarah tu ne barkat naazil ki Ibrahim aur unki Aal par beshak tu tu taareef ke laayaq aur badi buzurgi azmat wala hai.”
Sahih Muslim, Hadees No. 6357
Jahan bhi Aaqa Alaihissalam ka naam aaya to unke saath Ahe Bayt ka naam bhi aaya.
Aaj bahut se log jo padhe likhe ilmwale hain wo bhi apne durood aur salaam me is tarah ki ghaltiya karte nazar aate hain aur unke followers unki hi naql karte hain. Aal E Nabi ko chorkar bheja hua durood aur salaam kaise sahi hoga Aaqa Alaihissalam ki baargah me.
Kuch log aise bhi hain jinke saamne jab Ahle Bayt ka tazkira aata hai to unke chehro’n ka rang udjata hai. Ab ye unka bugz hai ya unki kam ilmi hai ya munafiqat hai, ye Allah uske Rasool behtar jaante hain. Agar bina ilm ke kehte hain to unko chahiye ki sahi ilm seekhein aur agar jaankar bhi nazar andaaz karte hain to Allah unhe hidayat ata kare.
Lekin bagair hubbe Ahle Bayt koi cheez Aaqa Alaihisslam ki baargah me maqbool nahi hoti.

No comments:
Post a Comment