Saturday, 19 January 2019

Bhainsodi shareef darbare Sakhawat

Syedi sakhawati baradari jahangeeri bhainsodi shareef tehseel milak zila rampur uttar Pradesh India dargahe mo'alla qutbul akhtaab aarife billah wasile ilallah sarkar khuwaja syed mohammad sakhawat husain shah jahan geer alaih rehma 


Syed Aale Rasool allah sallallaho alaihe wasallam ki shaan-o-fazeelat 


HUZOOR (Sallalaho AlyhiWasallam) Ne
Farmaya, Ai ABDUL MUTTALIB  Ki  Aoolad !  Maine Allah Paak Se Tumhare Liye  3 Duae Ki,

1)  Allah Tumhari  Mushkilo  Ko Door Kare Aur  Mushkilo Me Mazboot  Rakhe.

2) Tum Me Se  jinhe ilm Hasil  Nhi  Unhe  ilm  Hasil  Ho Aur Bathke  Hue  Nek Raah  Pe Aajaye.

3) Tumhe Sakhi, Bahadur Aur  Rahem Dil Bnaye.

{HAAKIM&TIBRANI}

💢💢💢💢💢💢💢💢

Aur  Yhi  Chata Hai ALLAH  Ke Door Kar De  Tumse Har Napaki Ko, Ai Nabi  Ke Ghar Walo! Aur Paak Kar De  Tumhe Khoob.

{QURAAN,  PAARAH:22, Roko:1  }

💢💢💢💢💢💢💢💢

Aur  Farma Do , Ai  Mehboob! (SallallahoAlyhiWasllam)
Ke  Mai  Nabuwat  Ki Tabligh  Ke  Liye  Koi  Ajr  Nhi Chahta. Siwae iske Ki Meri AHLEBAIT Se Mohbbt Kro.

{QURAAN, SURA SURA,
    AAYAT-23}



Monday, 14 January 2019

Bhainsodi shareef darbar-e-Sakhawat

 Syedi sakhawati baradari jahangeeri bhainsodi shareef tehseel milak zila rampur uttar Pradesh India







                     Aap hain
Syed Aale Rasool allah sallallaho alaihe wasallam bhainsodi shareef tehseel milak zila rampur uttar Pradesh India


 AALE RASOOL SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM” AFZAL HAI

SADAAT (SAYYADO)SE MOHABBAT FARZ HAI         ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹ðŸŒ¹

RASOOLE KHUDA  HUZOOR (sallallahoalyhi wasllam) Ne Farmaya,

Beshak,

  ” Fatima Paak  Daman Hai’n, ALLAH  Tala  Ne  Unpar  Aur  Unki Aoolado  Pr  Aag  Ko Haraam  Kar Diya Hai”

{ TIRMIZI,  ABU NAEEM}

💢💢💢💢💢💢💢💢

HUZOOR (SallallahoAlyhi Wasllam) Ne Farmaya,

Fatima!  Naraz Hoti Hai  To  Allah  Bhi  Naraz  Ho Jata  Hai.

          Fatima Razi Ho
To  Allah Bhi Razi Hota  Hai

{SARFUN NABOVAT}

Sunday, 13 January 2019

bhainsodi shareef Darbar-e-Sakhawat

“Ahle Bayt-e-Pak (Alaihi-mussalam) se Muhabbat Madaar-e-Imaan hai.

Jiska dil Muhabbat-e-Ahle Bayt se khaali hai wo saari zindagi tahujjud padhta rahe, roze rakhta rahe, mujahadey karta rahe, hajj karta rahe, uska har amal

MARDOOD HAI MARDOOD HAI MARDOOD HAI.”
-Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri


Aap hain ahlebait-e-Rasool sallallaho alaihe wasallam Syedi baradari murshid nagar Bhensodi shareef tehseel milak zila rampur uttar Pradesh india sajjade nasheen Sarkar khuwaja syed mohammad Ameenul Huy jahangeeri dargahe mo'alla qutbul akhtaab aarife billah wasile ilallah sarkar khuwaja syed mohammad sakhawat husain shah jahan geer alaih rehma syedi bara dari murshid nagar Bhensodi shareef tehseel milak zila rampur uttar Pradesh India 
Allah ta'ala hum sabko ahlebait Rasool allah sallallaho alaihe wasallam se mohabbat khidmat aur adab karne ki tofeeq ata farmaye 
Aameen ba huqqe aale Rehmatallil aalemeen sallallaho alaihe wasallam 

Saturday, 12 January 2019

Bhainsodi shareef Darbar-e-Sakhawat

Syedi sakhawati baradari jahangeeri 
Bhainsodi shareef tehseel milak zila                           rampur uttar india
                       


                           Ye kya ha
Ahle Bayt Se Bugz Ya Jahalat Munafiqat

Aaj har jagah chaahe wo social mediabl par ho ya iske bahar ho, hamare kuch bhai Durood aur Salaam is tarah pesh karte nazar aate hain,
Allahumma Salli Ala Muhammad Wa Sallim

(Ya Allah Muhammad par rehmat aur salamti nazil farma)

Sallallahu Alaihi Wasallam

(Aap par Allah ki rehmat aur salamti ho)
Ye sarasar ghalat hai.
Jab bhi durood aur salaam padhein to Rasool Allah ke saath Ahe Bayt ka zikr laazim hai aur ye cheez khud hamare Aaqa Alaihissalam ne hame sikhaya hai.
Durood likhein ya padhein to “Allahumma Salli Ala Muhammadin Wa Aale Muhammad”
Salaam likhein ya padhein to “ Sallallahu Alaihi Wa Aalihi Wasallam”
Hadees : Hazrat Abdur Rahman Bin Abi Bin Laila ne Ka’b Bin Ujra Razi Allahu Anhu se riwayat ki hai, humne pucha Ya Rasool Allah hum aap par durood aur salaam kis tarah bhejein?

Aapne farmaya,  kaho ki “ Ya Allah ! Rehmat naazil farma Muhammad aur unki Aal par jis tarah tu ne rehmat naazil farmayi Ibrahim aur unki Aal par beshak tu taareef ke laayaq aur badi buzurgi azmat wala hai. Aye Allah barkat naazil farma Muhammad aur unki aal par jis tarah tu ne barkat naazil ki Ibrahim aur unki Aal par beshak tu tu taareef ke laayaq aur badi buzurgi azmat wala hai.”
Sahih Muslim, Hadees No. 6357
Jahan bhi Aaqa Alaihissalam ka naam aaya to unke saath Ahe Bayt ka naam bhi aaya.
Aaj bahut se log jo padhe likhe ilmwale hain wo bhi apne durood aur salaam me is tarah ki ghaltiya karte nazar aate hain aur unke followers unki hi naql karte hain. Aal E Nabi ko chorkar bheja hua durood aur salaam kaise sahi hoga Aaqa Alaihissalam ki baargah me.
Kuch log aise bhi hain jinke saamne jab Ahle Bayt ka tazkira aata hai to unke chehro’n ka rang udjata hai.  Ab ye unka bugz hai ya unki kam ilmi hai ya munafiqat hai, ye Allah uske Rasool behtar jaante hain. Agar bina ilm ke kehte hain to unko chahiye ki sahi ilm seekhein aur agar jaankar bhi nazar andaaz karte hain to Allah unhe hidayat ata kare.
Lekin bagair hubbe Ahle Bayt koi cheez Aaqa Alaihisslam ki baargah me maqbool nahi hoti.

bhainsodi shareef Darbar-e-Sakhawat

       Syedi sakhawati baradari jahangeeri      
""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""""'''
                  Bhainsodi shareef
 Ya Rasool Allah sallallaho alaihe wasallam 

Teri nasle pak me hai bacha bacha noor ka
    Tu ahle noor tera sab gharana noor ka     

Ali ka ghar bhi kya ghar hai ke is ghar ka                              har ek bacha                              
Jise dekho wahi sher-e-khuda ma'alum                                      hota hai                                 

Chamak tujhse pate hain sab pane wale
Mera dil bhi chamka de chamkane wale


Aap hain mere aaqa-o- mola peer-o-murshid huzoor Syedi Murshedi noore mohammdi aulade ali wali ibne wali sakhi ibne sakhi sarkar khuwaja syed mohammad Ameenul Huy hasani-husaini qadri soharwardi  chishti Abu'ula'ee jahangeeri madda zillahul noorani sahab

Sajjade nasheen wa masnad nasheen dargahe mo'alla huzoor syedna wa murshidna qutbul akhtaab aarife billah wasile ilallah sarkar khuwaja syed mohammad Sakhawat'deen Shah baba jahangeer alaih rehma@@ syedi bara dari murshid nagar Bhensodi shareef tehseel milak zila rampur uttar Pradesh India

Azeezane mohatram wese to sar zameen bhainsodi shareef tehseel milak zila rampur uttar Pradesh India me bahut saare sufia ke ghar wa mazarat hain aur unme se kuch peerane azzam apne aapko syed Aale Rasool allah sallallaho alaihe wasallam batate hain taaki log unko syed samajh kar unki zyada se zyada taazim o takreem karen aur wo awaam ko dhoka de rahe hain aur apni maa pe zina ki tohmat laga rahe hain
Kyonki jisne apna nasab badla usne apna baap badla is liye meri aap se guzarish hai ke aise naqli syed aur peeron se bach kar rahen @

 Kyonki jis tarah jaan maal ke choron se jaan maal ka khatra hota hai isi tarah jhote syed aur peeron ke haath me haath dene se deen-o-imaan ka khatra hota hai @

Isliye me aapko batana chahta hoon ke sar zameen bhainsodi shareef me sirf aur sirf syed Aale Rasool allah sallallaho alaihe wasallam ka ghar wa darghah ek hi hai iske aalawa Bhensodi shareef me koi dusra ghar syed Aale Rasool allah sallallaho alaihe wasallam ka nahin hai @

Aur ye gharana syedi baradari sakhawati jahangeeri ke naam se mash'hoor aam hai

Sakhawat ka sakhi darbar hai sa'ayl zamana hai @
Ye shah-e-woqt Sakhawat ka aastana hai

Agar is bare me koi mazeed jaankari hasil karna chahta hai to is number pe contact kare @ mobile number +919412150941

Bhainsodi shareef Darbar-e-Sakhawat

Syedi sakhawati baradari jahangeeri

                Bhainsodi shareef

*Ahle Bayt Kee Mukhalifat Karne Waala Shaitaan Kee Jama’at Me Se Ho Jaata Hai*

“Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Seetaare Ahl-Zameen Ko Gark Hone Se Bachaane Waale Hain Aur Meri Ahle Bayt Meri Ummat Ko Ikhtilaaf Se Bachaane Waale Hain Aur Jab Koi Qabilah Un Kee Mukhaalifat Karta Hain To Us Me Ikhtilaaf Pad Jaata Hain Yaha’n Tak Ki Woh Shaytaan Kee Jama’at Me Se Ho Jaata Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Aur Kaha Ki Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.



[Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/162, Raqm-4715,

Ghayat-il-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/48, Raqm-33.]

Ab aap andaza laga sakte ho ke inki kitni buland azmat hai ke jisne bhi  inki mukhalfat kari wo shaitan ki jama'at me shamil ho jata hai

Allah ta'ala se duwa hai k wo humen Aale Rasool allah sallallaho alaihe wasallam se mohabbat khidmat aur adab-o-ahtraam karne ki tofeeq ata farmaye

Aameen ba huqqe aale Rehmatallil aalemeen sallallaho alaihe wasallam


Bhainsodi shareef Darbar-e-Sakhawat

Syedi sakhawati baradari jahangeeri

bhainsodi shareef tehseel milak zila rampur uttar Pradesh India dargahe mo'alla qutbul akhtaab aarife billah wasile ilallah sarkar khuwaja syed mohammad sakhawat husain shah jahan geer alaih rehma

  darbare Sakhawat hai ab aaye jiska dil chahe

Muqaddar apna apna aazmaye jiska dil chahe