Saturday, 12 January 2019

Bhainsodi shareef Darbar-e-Sakhawat

Syedi sakhawati baradari jahangeeri

                Bhainsodi shareef

*Ahle Bayt Kee Mukhalifat Karne Waala Shaitaan Kee Jama’at Me Se Ho Jaata Hai*

“Hazrat Abd Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya :
Seetaare Ahl-Zameen Ko Gark Hone Se Bachaane Waale Hain Aur Meri Ahle Bayt Meri Ummat Ko Ikhtilaaf Se Bachaane Waale Hain Aur Jab Koi Qabilah Un Kee Mukhaalifat Karta Hain To Us Me Ikhtilaaf Pad Jaata Hain Yaha’n Tak Ki Woh Shaytaan Kee Jama’at Me Se Ho Jaata Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Ne Riwayat Kiya Aur Kaha Ki Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.



[Hakim Fi Al-Mustadrak ‘Ala Sahihayn, 03/162, Raqm-4715,

Ghayat-il-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/48, Raqm-33.]

Ab aap andaza laga sakte ho ke inki kitni buland azmat hai ke jisne bhi  inki mukhalfat kari wo shaitan ki jama'at me shamil ho jata hai

Allah ta'ala se duwa hai k wo humen Aale Rasool allah sallallaho alaihe wasallam se mohabbat khidmat aur adab-o-ahtraam karne ki tofeeq ata farmaye

Aameen ba huqqe aale Rehmatallil aalemeen sallallaho alaihe wasallam


No comments:

Post a Comment